apne daamaan-e-shafaa’at me chhupaae rakhna lyrics
mere sarkaar ! meri baat banaae rakhnaaap ki yaad se aabaad hai dil mera, huzoor !
banda-parwar ! meri hasti ko basaae rakhna
mere sarkaar ! meri baat banaae rakhna
aap yaad aae.n to phir yaad na aae koi
Gair ki yaad mere dil se bhulaae rakhna
mere sarkaar ! meri baat banaae rakhna
isi mansab ka talabgaar hu.n mai.n bhi, aaqa !
KHaak hu.n mai.n, mujhe qadmo.n se lagaae rakhna
mere sarkaar ! meri baat banaae rakhna
jab sawa neze pe KHurshid-e-qayaamat hoga
apni zulfo.n ke gunahgaar pe saae rakhna
mere sarkaar ! meri baat banaae rakhna
mai.n ne maana ki nikamma hu.n, magar aap ka hu.n
mujh nikamme ko bhi, sarkaar ! nibhaae rakhna
mere sarkaar ! meri baat banaae rakhna
un ke ho jaao, har ik cheez unhi.n se maango
apne daaman me.n na ehsaan paraae rakhna
mere sarkaar ! meri baat banaae rakhna
shaayad is raah se, KHaalid ! mere aaqa guzre.n
apni palko.n ko sar-e-raah bichhaae rakhna
mere sarkaar ! meri baat banaae rakhna