KAUN HAI WO JO LIKHE RUTBA-E-AALA UN KA Naat Lyrics

KAUN HAI WO JO LIKHE RUTBA-E-AALA UN KA Naat Lyrics

 

Kaun Hai Wo Jo Likhe Rutba-e-Aala Un Ka
Wasf Jab Khud Hee Kare Chaahane Waala Un Ka

Who Is It That Can Write About His Grand Eminence
When The One Who Loves Him Most, Describes His Eminence

Kyuñ Dil Afroz Na Ho Jalwa-e-Zaiba Un Ka
Donoñ ‘Aalam Meiñ Chamakta Hai Tajal’la Un Ka

Why Should His Beautiful Radiance, Not Be The Heart’s Luminance
When In Both The Worlds Is Glowing, His Holy Radiance

Ne’matoñ Ka Hai Khazaana Dar-e-Waala Un Ka
Donoñ ‘Aalam Meiñ Bat’a Karta Hai Baar’a Un Ka

A Grand Treasure of Blessings, Is His Court of Grand Excellence
In Both The Worlds, His Blessings Are Distributed In Abundance

Ek ‘Aalam Hee Nahiñ Waalaha-o-Shaida Un Ka
Hai Khudawand-e-Jahaañ Chaahane Waala Un Ka

It Is Not Just One Domain, Which Is Deeply In Love With His Countenance
The Creator of The Entire Creation, Loves His Holy Presence

Tishnagi Dil Ki Bujha Deta Hai Ch’heeñta Un Ka
Khwaan-e-Afzaal Pe Mehmaañ Hai Zamaana Un Ka

The Thirst of The Heart, Is Quenched By His Light Drizzle, In An Instance
The Entire World Is Guest, Before His Spread of Grand Abundance

 

Sar Basar Noor-e-Khuda Hai Qad e Baala Un Ka
Noor Bhar Deta Hai Aankhoñ Meiñ Ujaala Un Ka

The Light of Allah, Is His Grand Height And His Entire Presence
His Blessed Radiance Fills The Eyes With A Special Luminance

Malak-o-Jinn-o-Bashar Par’hte Haiñ Kalma Un Ka
Jaanwar, Sang-o-Shajar Karte Haiñ Charcha Un Ka

The Angels, Jinns, And Humans Recite His Kalima With Reverence
The Animals, Stones, And Trees, Announce His Grand Excellence

Kaun Si Shai Hai Wo, Jis Par Nahiñ Qabza Un Ka
Kaa’ba-o-Arz-o-Samaañ ‘Arsh-e-Mu’alla Un Ka

Which Thing Is It, Over Which Is Not His Control And Influence?
His, Is The Kaa’ba, The Earth & The Skies & The Arsh With All its Excellence

 

Zindagi Paata Hai Kaunain Meiñ Murda Un Ka

Dam Bhara Karte Haiñ Har Waqt Maseeha Un Ka

 

In Both Worlds, He Attains Life, Who Dies In His Reverence
His Messiah’s Breathe Freshness, In Every Instance

Hashr Meiñ Pul Se Utaarega Sahaara Un Ka
Ber’iyaañ Kaat’ne Ko Kaafi Hai Ishaara Un Ka

On The Day of Reckoning, By His Aid, We Will Cross The Bridge In An Instance
To Cut Through Our Shackles, Sufficient Is His Gesture of Excellence

Mujh Sa ‘Aasi Na Sahi Ko-ee Magar Ay Zaahid
Jin Sa Shaafe’ Nahiñ Hai Mujh Ko Wasila Un Ka

O Ascetic! Like Me, Even If There May Be No Other Sinner In Existence
But I Have That Unique Wasila, Who Is An Intercessor of Grand Eminence

 

Zikr Se T’eyk Lagi Dil Ko Khuda Yaad Aaya
Fikr Se Aankhoñ Ko Ho Gaya Nazaara Un Ka

By His Zikr I Was Aided, In My Heart Appeared Allah’s Remembrance
In This Thought, My Eyes Were Blessed, With Seeing His Countenance

Bheek Lene Ko Chale Aate Haiñ Laakhoñ Mangte
Jis Ne Jo Maanga Diya Kaam Hai Dena Un Ka

To Gather His Blessed Alms, Countless Mendicants Arrive In His Presence
Whatever Anyone Asked He Got, Giving Is His Manner of Benevolence

Chaand Sooraj Shab-e-Asra Meiñ Muqaabil Hee Na Thay
Munh Ch’hupa Lete Agar Dekhte Talwa Un Ka

The Sun & The Moon On The Eve of Me’raj Were No Match In His Presence
They Would Have Hidden Their Faces, If They Saw His Sacred Sole’s Radiance

Bosay Leta Kabhi Aankhoñ Ko Munaw’war Karta
Haath Aata Jo Kaheeñ Naqsh-e-Kaf-e-Paa Un Ka

At Times, I Would Kiss It, While Simultaneously Affording My Eyes Radiance
If I Somehow Got The Impression of The Sole of His Feet, Full of Luminance

Aankh Ut’ha Kar Na Kabhi Dekhe Wo Jannat Ki Taraf
Ek Nazar Dekh Liya Jis Ne Madina Un Ka

Towards Jannat, He Would Never Even Raise A Single Glance
If Someone Got To See His Madina, With Just A Single Glance

Jaan-o-Dil Karteeñ Fida Naqsh-e-Qadam Par Un Ke
Dekh Leteeñ Jo Kabhi Husn Zulaikha Un Ka

Her Soul & Heart She Would Have Lost, In His Sacred Foot’s Brilliance
If Zulaikha Ever Got To See, His Beautiful Peerless Radiance

 

Hashr Waale Ye Kaheñ Dekh Ke Mahshar Meiñ Mujhe
Wo Chala Aata Hai Ek Banda-e-Shaida Un Ka

On Seeing Me On Reckoning Day, Those Present There Will Announce
His Slave Absorbed In His Love, Is Now Making An Appearance

Di Munaadi Ne Nida Hashr Meiñ Ay Mushtaaqo!
Dekh Lo Aaj Ke Be-Pardah Hai Jalwa Un Ka

On The Day of Reckoning, O Ardent Ones, The Proclaimer Did Announce
Now Look At Him, For Today, Unveiled Is His Radiant Countenance

Sab Mahinoñ Meiñ Mubaarak Hai Rabi-ul-Awwal
Jum’e Se Fazl Meiñ Bar-tar Hai Do-Shamba Un Ka

Amongst All The Months, Rabi ul Awwal Has The Greatest Prominence
More Than The Friday, His Monday, Has Been Granted Excellence

Maiñ Raza Ka Huñ Raza Un Ke To Maiñ Un Ka Huñ
Yuñ Hee Rakhe Mujhe Allah Ta’ala Un Ka

I Am Raza’s, Raza Is His, So I Am His, In This Sense
May Allah Keep Me His Like This, In Every Instance

Tujh Ko Kya Fikr Hai Bakhshish Ki JAMEEL-E-RAZVI
Haath Meiñ Hai Tere Daamaan-e-Mu’alla Un Ka

O Jameel The Razvi! Why Are You So Anxious About Your Deliverance?
When In Your Hand You Have His Sacred Mantle of Eminence

Sharing Is Caring:

Leave a Comment