DAAYRAH TERI RAZA PARKAAR MERI ZINDAGI
DAAYRAH TERI RAZA PARKAAR MERI ZINDAGI
HAR TAMANNA HAR IRAADAH HAR TALAB TERE LIYE
AANKH UTH-THE TERE LIYE
MASJIDE ALFAAZ MEIN BHI DE RAHA HOON MAYN AZAAN
MERA FUN, MERA HUNAR, MERA ADAB TERE LIYE
AANKH UTH-THE TERE LIYE
RAAT KO AKSAR TALAASHI LUN, ZAMIRON ZAHEN KI
APNE ANDAR BHI LAGAATA HUN NAQAB TERE LIYE
AANKH UTH-THE TERE LIYE
KAISE HO SAKTA HAI MUJH SE MUNHARIF AEK SAANS BHI
WAQF MAYNE KAR DIYA HAI, KHUD KO JAB TERE LIYE
AANKH UTH-THE TERE LIYE
MERI BAAQI UMR KE DIN QIMTI HAIN KIS QADAR
MERA HAR LAMHA BASAR HOTA HAI AB TERE LIYE
AANKH UTH-THE TERE LIYE
RAUSHNI HO YA ANDHERA TUJH SE MAYN GAAFIL NAHIN
MERA DIN TERE LIYE HAI, MERI SHAB TERE LIYE
AANKH UTH-THE TERE LIYE
TERE MADDA-HON MEIN SHAAMIL HAI, “MUZAFFAR” KA BHI NAAM
USNE DUNIYA SE LIYA HAI LAQAB TERE LIYE
AANKH UTH-THE TERE LIYE
HAMD – ALLAH HU, ALLAH HU
PUCHA GUL SE YEH MAYNE KE AEY KHOOBROO
TUJH MEIN AAI KAHAAN SE NAZAAKAT KI KHOO
YAAD MEIN KIS KI HANSTA MAHEKTA HAI TU
HANS KE BOLA AEY TAALIBE RANGO BOO
ALLAH HU
ARZ KI MAYNE SUMBAL SE AEY MUSHK BOO
SUBH KO KAR KE SHABNAM SE TAAZA WUZU
JHOOM KAR KAUN SA ZIKR KARTA HAI TU
SUN KE KAR NE LAGA DAM BADAM ZIKR HU
ALLAH HU
MAYNE PUCHA YEH PARWAANE SE DOOBA-DOO
KIS LIYE SHA’MAA KI LO PE JALTA HAI TU
SHOLAA-AEY NAAR MEIN KIS KI HAI JUSTUJOO
JALTE, JALTE KAHA US NE YA NOOR HU
ALLAH HU
JAB KAHA MAYNE BULBUL SE AEY KHUSH GULU
KYON CHAMAN MEIN CHAHEKTA HAI TU CHAAR SU
DEKH KAR GUL KISE YAAD KARTA HAI TU
WAJD MEIN BOL UTHA WA’AHDUHU WA’AHDUHU
ALLAH HU
“A’ZAMI”, GARCHE BEHAD GUNAHGAAR HAI
MUJRIMO BE-AMAL HAI KHATAAKAAR HAI
HAQQ TA’ALA MAGAR AISA GHAFFAAR HAI
USKI REHMAT KA NAARA HAI, “LA TAQ NATU”
ALLAH HU
Author: JANAAB MUHAMMAD A’ZAM CHISHTI
HAMD – KAAMIL HAI JO AZAL SE
HAI AARIFON KO HAIRAT AUR MUNKIRON KO SAKTA
HAR DIL PE CHA RAHA HAI, ROBO JALAAL TERA
KAAMIL HAI JO
GO HUKM TERE LAAKHON, YAAN TAAL TE RAHE HAIN
LEKIN TALAANA HARGIZ, DIL SE KHAYAAL TERA
KAAMIL HAI JO
UNKI NAZAR MEIN SHAUKAT, JACHTI NAHIN KISI KI
AANKHON MEIN BAS RAHA HAI, JIN KE JAMAAL TERA
KAAMIL HAI JO
HAMD – KABHI AEY HAQIQATEY MUNTAZAR
TU BACHA, BACHA KE NA RAKH ISEY, TERA AAINAH HAI WOH AAINAH
KE SHIKASTA HO TO AZIZ TAR, HAI NIGAAHE AAINAH SAAZ MEIN
KABHI AEY HAQIQATE
NA KAHIN JAHAAN MEIN AMAAN MILI, JO AMAAN MILI TO KAHAAN MILI
MERE JURME KHAANA KHARAAB KO, TERE AFWE BANDA NAWAAZ MEIN
KABHI AEY HAQIQATE
NA WOH ISHQ MEIN RAHI GARMIYAAN, NA WOH HUSN MEIN RAHI SHAUKHIYAAN
NA WOH GHAZNAVI MEIN TARAP RAHI, NA WOH KHAM HAI ZULFE AYAAZ MEIN
KABHI AEY HAQIQATE
JO MAYN SAR BA SAJDAH HUA KABHI, TO ZAMIN SE AANE LAGI SADA
TERA DIL TO HAI SANAM AASHNA, TUJHE KYA MILEGA NAMAAZ MEIN
KABHI AEY HAQIQATE
Author: JANAAB, DR, SIR, ALLAMA MUHAMMAD IQBAL
HAMD – KARAM MAANGTA HOON
ATA KAR TU SHAANE KARIMI KA SAD’QAH
ATA KAR DE SHAANE RAHIMI KA SAD’QAH
NA MAANGUN GA TUJH SE TO MAANGU GA KIS SE
TERA HOON MAYN TUJH SE DUA MAANGTA HOON
KARAM MAANGTA HOON
JO MUFLIS HAIN UNKO TU DAULAT ATA KAR
JO BIMAAR HAIN UNKO SEHAT ATA KAR
MARIZON KI KHAATIR SHIFA MAANGTA HOON
ILAAHI MAYN TUJH SE DUA MAANGTA HOON
KARAM MAANGTA HOON
MERI JO BAHEN BHI KUNVAARI HAIN MAULA
USE NEIK RISHTA ATA KAR DE MAULA
MAYN SADQAA-E ZAHRA SADA MAANGTA HOON
ILAAHI MAYN TUJH SE DUA MAANGTA HOON
KARAM MAANGTA HOON
JO NAADAAR HAIN KUCH NAHIN JINKE PALLE
UNHE BHI DIKHA DE HARAM KE TU JALWE
HUZOORI HO SAB KI DUA MAANGTA HOON
ILAAHI MAYN TUJH SE DUA MAANGTA HOON
KARAM MAANGTA HOON
WATAN KE BHARAK TE SHARAARE BUJHA DE
ISE PHIR UKHUVVAT KA GULSHAN BANA DE
MAYN AMNO AMAAN KI RIDA MAANGTA HOON
ILAAHI MAYN TUJH SE DUA MAANGTA HOON
KARAM MAANGTA HOON
ILAAHI TUJHE WAASTA PANJATAN KA
HON SHAADAAB GHUNCHA DILON KE CHAMAN KA
MAYN SADQAA-E GHAUS UL WARAAN MAANGTA HOON
ILAAHI MAYN TUJH SE DUA MAANGTA HOON
KARAM MAANGTA HOON
ILAAHI HAMEIN SHAADO MASROOR RAKHNA
BALAAON SE HUM KO SADA DUR RAKHNA
PARESHAANIYAAN HUM KO GHERE HU-AEY HAIN
PARESHAANIYON SE PANAAH MAANGTA HUN
KARAM MAANGTA HOON
HAMD – KUSHAADAH DASTE KARAM, JAB WOH BENIYAAZ KARE
MUDAAM GOSH BADIL REH, YEH SAAZ HAI AISA
JO HO SHIKASTA TO PAIDA NAWAA-E RAAZ KARE
KUSHAADAH DASTE KARAM
KOI YEH PUCHE KE WAAIZ KA KYA BIGARTA HAI
JO BE-AMAL PE BHI REHMAT WOH BENIYAAZ KARE
KUSHAADAH DASTE KARAM
SUKHN MEIN SAUZ ILAAHI KAHAAN SE AATA HAI
YEH CHIZ WOH HAI KE PATHTHAR KO BHI GUDAAZ KARE
KUSHAADAH DASTE KARAM
BITHA KE ARSH PE RAKHKHA HAI TUNE AEY WAAIZ
KHUDA WOH KYA HAI JO BANDON SE AITIRAAZ KARE
KUSHAADAH DASTE KARAM
HAWAAH HO AISI KE HINDUSTAN SE AEY, “IQBAL”
URA KE MUJH KO GHUBAARE RAAHE HIJAAZ KARE
KUSHAADAH DASTE KARAM
Author: JANAAB, DR, SIR, ALLAMA MUHAMMAD IQBAL
HAMD – MAAYOOS NA HO, MAAYOOS NA HO
JO NAAR KO BHI GULZAAR KARE, JO NOOH KI KASHTI PAAR KARE
US RAB KE LIYE DUSHVAAR HAI KYA, MAAYOOS NA HO, MAAYOOS NA HO
SUNTA HAI KHUDA
KHIL JAAEIN GEY UMMIDON KE KANWAL, CHOOT JAA-EIN GEY SAB GHAM KE BAADAL
LAAZIM HAI BHAROSA REHMAT KA, MAAYOOS NA HO, MAAYOOS NA HO
SUNTA HAI KHUDA
USKA TO KARAM HI SHEVA HAI, WOH MAULA HAI, HUM BANDE HAIN
KEHTA HAI WOHI JAB MAANG DUA, MAAYOOS NA HO, MAAYOOS NA HO
SUNTA HAI KHUDA
HUM AAJIZ HAIN, MUKHTAAR HAI WOH, HAAN SAB SE BARI SARKAAR HAI WOH
SAR APNA JHUKA AUR MAANG DUA, MAAYOOS NA HO, MAAYOOS NA HO
SUNTA HAI KHUDA
JO KHATM NAHIN HOGA, “ANJUM” WOH EHDE BAHAAR AA JAA-E GA
RAKH APNA WAZIFA SALLE ALA, MAAYOOS NA HO, MAAYOOS NA HO
SUNTA HAI KHUDA
Author: JANAAB QAMARUDDIN ANJUM
HAMD – NAAM BHI TERA AQIDAT SE LIYE JAATA HOON
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NA’AT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:
NAAM BHI TERA AQIDAT SE LIYE JAATA HOON
HAR QADAM PAR TUJHE SAJDE BHI KIYE JAATA HOON
KOI DUNIYA MEIN MERA, MONISO GHAM KHWAAR NAHIN
TERI REHMAT KE, SAHAARE PE JIYE JAATA HOON
NAAM BHI TERA AQIDAT SE LIYE JAATA HOON
TERE AUSAAF MEIN AEK WASF KHATA POSHI HAI
IS BHAROSE PE KHATAAEIN BHI KIYE JAATA HUN
NAAM BHI TERA AQIDAT SE LIYE JAATA HOON
AAZMAAISH KA MAHAL HO KE MASARRAT KA MUQAAM
SAJDAH SHUKR BAHARHAAL KIYE JAATA HUN
NAAM BHI TERA AQIDAT SE LIYE JAATA HOON
ZINDAGI NAAM HAI, ALLAH PE MAR MITNE KA
YEH SABAQ SAARE, ZAMAANE KO DIYE JAATA HOON
NAAM BHI TERA AQIDAT SE LIYE JAATA HOON
SABR KARNA HAI TERI, SHAANE KARIMI KO AZIM
MAYN YEHI SOCH KE, AANSOO BHI PIYE JAATA HOON
NAAM BHI TERA AQIDAT SE LIYE JAATA HOON
HAR GHARI US KI RAZA PAISHE NAZAR HAI, “IQBAL”
SHUKR HAI AEK SALIQE SE JIYE JAATA HOON
NAAM BHI TERA AQIDAT SE LIYE JAATA HOON
Author: JANAAB, PROFESSOR, DR IQBAL AZEEM
HAMD – TERI SHAAN JALLA JALAALUHU — VERSION 1
TERI ZAAT PAAK HAI AEY KHUDA
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
NAHIN TUJH SA KOI BHI DUSRA
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERI ZAAT PAAK
TERA ZIKR HI TO NAMAAZ HAI
TERI YAAD HI TO NIYAAZ HAI
BARI SEHAL HAI TERI BANDAGI
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERI ZAAT PAAK
KABHI MAST DEKH KE PHOOL KO
KABHI TERE HUSN QUBOOL KO
YEHI KEH RAHI HAI KALI, KALI
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERI ZAAT PAAK
JIS SE CHAAHE HOSH MEIN LAA-E TU
JIS SE CHAAHE MAST PHIRAA-E TU
TUHI HOSH DEY TUHI BEKHUDI
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERI ZAAT PAAK
TERE HUKM SE JO HAWA CHALI
TO CHITAK KE BOLI KALI, KALI
HAI KARIM TU HAI RAHIM TU
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERI ZAAT PAAK
TERA DAALI, DAALI MEIN WASF HAI
TERI PATTEY, PATTEY MEIN HAMD HAI
TERA GHUNCHEY, GHUNCHEY MEIN RANGO BOO
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERI ZAAT PAAK
TERA JALWA DONON JAHAAN MEIN HAI
TERA NOOR KOUNO MAKAA’N MEIN HAI
YAHAAN TU HI TU WAHAAN TU HI TU
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERI ZAAT PAAK
HAMD – TERI SHAAN JALLA JALAALUHU — VERSION 2 (BY RIAZ SOHARWARDI)
MERE RAB KAHAAN PE NAHIN HAI TU, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERE ZARRE, ZARRE MEIN HAI NAMUD, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERI ZAAT KHAALIQE DO JAHAAN, CHALE HUKM TERA, YAHAAN, WAHAAN
TERI HAR ZUBAAN PE HAI GUFTAGU, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TUJHE KUCH KISI SE GARAZ NAHIN, TERI SAB KO REHTI HAI EHTIYAAJ
TERA ZIKR HOTA HAI KOO BA KOO, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERI QUDRATON KA SHUMAAR KYA, TERI WUSATON KA HISAAB KYA
TU MUHITE AA’LAME RANGO BOO, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
JISE CHAAHE TU WOH AZIZ HAI, JISE TU NA CHAAHE ZALIL HAI
TERE HAATH ZILLAT-O-AABROO, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERA FAIZ, FAIZE AMIM HAI, TUHI MERA RABBE KARIM HAI
MERE DIL MEIN HAI TERI AARZOO, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
KABHI HAMD TERI LABON PE HO, KABHI NA’AT TERE HABIB KI
HAI RIAZ KI YEHI JUSTAJU, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
HAI, “RIAZ” KHASTA KI ILTIJA, BAARGAAH MEIN AEY KHUDA
MERA CHAAKO AMAAN BHI HO RAFU, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
Author: JANAAB ALLAMA SAYYAD MUHAMMAD RIAZUDDIN SOHARWARDI, QADRI, CHISTI
HAMD – TERI SHAAN JALLA JALAALUHU — VERSION 3 (BY SAIM CHISTI)
TU BARA RAHIMO KARIM HAI TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TU BASHIR HAI, TU QADIR HAI, TERI KAB MISAALO NAZIR HAI
TU QAYYUM HAI, TU QADIM HAI, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
HAI YAHAAN BHI TU, HAI WAHAAN BHI TU, HAI AYAAN BHI TU, HAI NIHAAN BHI TU
TU GULON MEIN MISLE SHAMIM HAI, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERA ZARRE, ZARRE MEIN NOOR HAI, TERA HAR JAGAH PE ZAHOOR HAI
TU KHABIR HAI, TU ALIM HAI, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TU KAHAAN AEY MERE KHUDA NAHIN KOI SHAY BHI TERE SIWA NAHIN
TU AZIM HAI, TU AZIM HAI, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERE DAR PE KHAIRE KASIR HAI, TERE DAR KA, “SAIM” FAQIR HAI
TERA AAM LUTFE AMIM HAI, TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
Author: JANAAB, ALLAMA SAIM CHISHTI
HAMD – TU NAWAAZ NE PE AA-AEY TO NAWAAZ DE ZAMAANE
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NA’AT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
TU NAWAAZ NE PE AA-AEY, TO NAWAAZ DEIN ZAMAANE
TU KARIM HI JO THEHRA, TO KARAM KE KYA THIKAANE
TU AFU HAI MUAAF FARMA, AEY RAHIM RAHEM FARMA
DHUNDE HAI TERI REHMAT, BAKHSHISH KE SAU BAHAANE
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
TU BE-NISHAAN NAHIN HAI, SAB MEIN NISHAAN HAI TERA
SUBHO KE HON UJAALE, YA SHAAM KE FASAANE
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
MERE DOOB NE MEIN BAAQI, NA KOI KAMI RAHI THI
KAHA AL MADAD KHUDAAYA, TO UBHAR GAYA SAFEENAH
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
TU HI AWWAL, TU HI AAKHIR, TU HI ZAAHIR TU HI BAATIN
TU AZIM HAI ITNA TERI SHAAN KA KYA KEHNA
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
HAMD – TU KARIM HAI, TU RAHIM HAI
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NA’AT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:
TU KARIM HAI, TU RAHIM HAI, TERI ZAAT SAB SE AZIM HAI
NAHIN TUJH SA KOI BHI DUSRA, TU KHABIR HAI TU ALIM HAI
TERI RAAH GUZAR HAI DILE BASHAR
TERA MUSTAQAR HAI HAR AEK NAZAR
TERI DAS-TARAS SAI KISE MAFAR HAI
TU BASHIR HAI TU FAHIM HAI
NAHIN TUJH SA BHI DUSRA
YEH LATAAFATEIN YEH INAAYATEIN
HAI TERE KARAM KI WAJAAHATEIN
JO CHAMAN MEIN HAI TO NASIM HAI
JO GULON MEIN HAI TO SHAMIM HAI
NAHIN TUJH SA BHI DUSRA
TU BAEED BHI TU QARIB BHI
TU MUHIB BHI HAI TU HABIB BHI
TU HARAARATE DILE AASHIQAAN
TU NISHAANE AQLE SALIM HAI
NAHIN TUJH SA BHI DUSRA
NA HIQAAYATON MEIN NIHA RAHA
NA RIWAAYATON SE AYAAN HUA
MAGAR IS MEIN KOI GUMAAN NAHIN
KE DILON MEIN TU HI MUKIM HAI
NAHIN TUJH SA BHI DUSRA
HAI DUA-E BISMILE NIM JAAN
KE MERI KHATAAON KO BHUL JA
HAI MUJHE TO TERA HI AASRA
TU HALIM HAI TU RAHIM HAI
NAHIN TUJH SA BHI DUSRA
HAMD – TU RAUF HAI, TU RAHIM HAI
TERE RAAZDAAN HAI, FAQT NABI
TUJHE AUR KAUN SAMAJH SAKA
TU RAGHE GULU SE QARIB HAI
TU HADE NIGAAH SE DOOR HAI
TU RAUF HAI, TU RAHIM HAI
WOH MAQAAN HO LA KE HO LA MAKAAN
TERI ZAAT SAB MEIN RAWAAN, DHAWAAN
KAHIN NAGHMAA-E SARE ARSH HAI
KAHIN JALWAA-E SARE TOOR HAI
TU RAUF HAI, TU RAHIM HAI
KAHAAN EHL HUM, TERI HAMD KE
KE HOON AEK SHAAYRE BE NAWAAN
TERA ZIKR HAI MERI BANDAGI
TERA ZIKR LAB PE ZAROOR HAI
TU RAUF HAI, TU RAHIM HAI
HAMD – TUJHE DHUNDH TA THA
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NA’AT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:
TUJHE DHUNDH TA THA MAYN CHAAR SU
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TU MILA QARIBEY RAGEY GULU
TERI ZAAT AMMA NAWAALUHU
TUJHE DHUNDH TA THA MAYN CHAAR SU
TERI YAAD MEIN HAI KALI, KALI
HAI CHAMAN, CHAMAN MEIN HUWAL ALI
TU BASA HAI PHOOL MEIN HOO BAHOO
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERI JUSTAJU MEIN HAI FAAKHTAH
KE KAHAAN TU JALWA DIKHAA-E GA
USEY VIRDE KU, KU HAI KU-BA-KU
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
GIREY QATREY ABR SE KHAAK PAR
TO YEH BOLA SABZAH UTHA KE SAR
DIYA GHAIB SE MUJHE AABEY JU
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERA RANG LAALO GOHAR MEIN HAI
TERA NOOR SHAMSO QAMAR MEIN HAI
TERI SHAAN AMMA NOWAALUHU
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERE HUKM SE JO HAWA CHALI
TO CHITAK KE BOLI KALI KALI
HAI KARIM TU HAI RAHIM TU
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERA DAALI, DAALI MEIN WASF HAI
TERI PATTEY, PATTEY MEIN HAMD HAI
TERA GHUNCHEY, GHUNCHEY MEIN RANGO BU
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
TERA JALWA DONON JAHAAN MEIN HAI
TERA NOOR KOUNO MAKAA’N MEIN HAI
YAHAAN TU HI TU WAHAAN TU HI TU
TERI SHAAN JALLA JALAALUHU
HAI DUAA-E, “AKBARE” NAATWAAN
NA THAMEY QALAM NA RUKE ZUBAAN
MAYN LIKHUN PARH-HOON YEHI BA WUZU
TERI SHAANREPEAT “TUJHE DHUNDH TA”
Author: JANAAB KHWAJA MUHAMMAD AKBAR WARSI
HAMD – WOHI KHUDA HAI
KISI KO TAAJE WAQAAR BAKHSHE, KISI KO ZILLAT KE GHAAR BAKHSHE
JO SAB KE MAATHE PE MOHRE QUDRAT LAGA RAHA HAI, WOHI KHUDA HAI
SAFED USKA, SIYAAH USKA, NAFS, NAFS HAI, GAWAAH USKA
JO SHO’ALAH-E JAAN JALA RAHA HAI, BUJHA RAHA HAI, WOHI KHUDA HAI
KOI TO HAI JO NIZAAME HASTI CHALA RAHA HAI, WOHI KHUDA HAI
DIKHAAI BHI JO NA DE, NAZAR BHI JO AA RAHA HAI, WOHI KHUDA HAI
TALAASH USKO NA KAR BUTON MEIN, WOH HAI BADALTI HUI RAATON MEIN
JO DIN KO RAAT AUR RAAT KO DIN BANA RAHA HAI, WOHI KHUDA HAI
WOHI HAI MASHRIQ, WOHI HAI MAGHRIB, SAFAR KAREIN SAB USI KI JAANIB
HAR AAINE MEIN JO AKS APNA DIKHA RAHA HAI, WOHI KHUDA HAI
KISI KO SOCHON NE KAB SARAAHA, WOHI HUWA JO KHUDA NE CHAAHA
JO IKHTIYAARE BASAR PE PAHERE BITHA RAHA HAI, WOHI KHUDA HAI
NAZAR BHI RAKH-KHE, SAMA-ATEIN BHI, WOH JAAN LETA HAI, NIYYATEIN BHI
JO KHAANAA-E LA SHO’OOR MEIN, JAGMAGA RAHA HAI, WOHI KHUDA HAI
Author: JANAAB MUZAFFAR WARSI
HAMD – YA RAB, MERI SOI HUI TAQDIR JAGA DAI
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NA’AT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:
YA RAB, MERI SOI HUI TAQDIR JAGA DAI
AANKHEIN MUJHE DI HAIN TO MADINAH BHI DIKHA DAI
SUN NE KI JO QUWWAT MUJHE, BAKHSHI HAI KHUDA WAND
PHIR MASJIDE NABAWI KI, AZAANEIN BHI SUNA DE
YA RAB, MERI SOI HUI TAQDIR JAGA DAI
HOORON, KI NA GHILMAAN KI NA JANNAT KI TALAB HAI
MADFAN MERA SARKAAR KI, BASTI MEIN BANA DE
YA RAB, MERI SOI HUI TAQDIR JAGA DAI
MUDDAT SE MAYN IN HAATHON SE, KARTA HOON DUAAEIN
IN HAATHON MEIN AB JAALI, SUNEHARI WOH THAMA DE
YA RAB, MERI SOI HUI TAQDIR JAGA DAI
MUNH HASHR MEIN MUJH KO NA CHUPAANA PARE YA RAB
MUJH KO TERE MEHBOOB KI KAMLI MEIN CHUPA DE
YA RAB, MERI SOI HUI TAQDIR JAGA DAI
“ISHRAT”, KO BHI AB KHUSHBOO-E, HASSAAN ATA KAR
JO LAFZ KAHEIN WOH USE TU NAAT BANA DE
YA RAB, MERI SOI HUI TAQDIR JAGA DAI
Author: JANAAB ISHRAT GODHARVI