Shab E Bar’aat Ke Mukhtesar Fazaail O Nawaafil
Aap Dosto’n Ki Khidmat Me Ba Tore Tohfa Pesh Hai Qubul Farmaae’n
hazrat Amirul Muminin Mola Ali
Radiy Allaaho Ta’aala Anho Farmaate Hain Ke
hoozur Sallallaaho Ta’aala Alaiyhe Wa Sallam Ne
Irshaad Farmaaya Ke
15. Sha’abaan Ko
Aaftaab Gurub Hone Ke Saath Aasmaane Dunya Par Rahmate Ilaahi Ka Nuzul Hota Hai Aur Bandon Ko Pukara Jaata Hai Ke
hai Koi Banda Jo Apne Gunaahon Ki Muaafi Talab Karta Ho??? Aur
magferat Chaahta Ho??? To Main Us Ke Gunaahon Ko Muaaf Kardun Aur Us Ki Magferat Kardun,
hai Koi Banda Jo Rizq E Halaal Talaash Karta Ho???
To Main Us Ko Rozi Dun,
hai Koi Banda Jo Musibat Zeda Ho Aur
Musibaton Se Amaan Chaahta Ho??? To
Main Us Ko Musibaton Se Aazaad Kardun,
Yaani>Ke Allaah Ta’aala Apne Bandon Par Rahmaton Ki Baarish Barsaata Hai Aur Is Muqaddes Raat Shab E Bar’aat Me Banda Jobhi Mangta Hai Us Ki Nek Muraad Ko Pura Kiya Jaata Hai
rozul Afkaar Nuzhat Ul Majaalis Jild 1. Safa 132.
Saiyedna Hazrat Isaa Alaiyheessalaam
Ek Pahad Par Tashrif Le Gae Wahaan Sufaid Rang Ka Patthar Mulahza Farmaya Aap Alaiyheessalaam Ko Woh Patthar Bada Pasand Aaya
itne Me Allaah Ta’aala Ne Wahih Naazil Farmaai Ke Aey Isaa??? Kya Main Tujh Ko Is Se Ziyada Ajib Chiz Na Dikhaaun?
aap Alaiyheessalaam Ne Arz Ki Beshak
Itne Me Woh Patthar Phat Gaya Aur Us Ke Andar Ek Buzurg Nazar Aae Jin Ke Haath Me Ek Sabz Rang Ka Asaa Tha Aur Wahaan Ek Angur Ka Darakht Bhi Tha Jis Ka Mewa Woh Buzurg Khaate The
aap Ne Us Buzurg Se Daryaaft Farmaaya Ke Tumhe Yahaa’n Ibaadat Karte Hue Kitni Muddat Guzri Hai?us Buzurg Ne Kaha Ke Main Yahaan Arsa 400.Chaar Sau Saal Se Ibaadat Kar Raha Hun
to Saiyedna Hazrat Isaa Alaiyheessalaam Ne
Baargaah E Ilaahi Me Arz Ki Ilaahi Mere Khayaal Me To Tune Is Shakhs Se Afzal Makhluq Paida Nahin Ki Hai?
to Baargaahe Khudawandi Se Jawaab Aaya Aey Isaa???
Mere Mahbub muhammad Mustafa
Sallallaaho Ta’aala Alaiyhe Wa Sallam Ki Ummat Ka Jo Fard
Sha’abaan Ul Muazzam Ki 15.Pandrahwin Raat Ko Sirf 2.Do Rakaat Namaaz E Nafl Padhega To Us 2.Do Rakat Nafl Namaaz Ka Sawaab Is Shakhs Ke 400.Chaar Sau Saala Ibaadat Se Ziyaada Hoga
allaah Taala Ka Ye Irshaad Sun Kar
Hazrat Isaa Alaiyheessalaam Ne Kaha Ke Kaash Main Bhi Hazrat Ahmade Mujteba muhammad Mustafa Sallallaaho Ta’aala Alaiyhe Wa Sallam Ki Ummat Me Hota?
Ya’ani Shab E Bar’aat Ki Ibaadat Allaah Ta’ala Ki Bargaah Me
Be Had Maqbul O Pasandida Hai.
hoozur Taajdaare Ambiyaa Sallallaaho Ta’aala Alaiyhe Wa Sallam Irshaad Farmate Hain Ke
Rab Tabaarak Wa Ta’aala Shab E Bar’aat Me Tamaam Mo’minin (Sunni Musalman) Ki
Magferat Farmaata Hai
Siwaae
1.> Mushrik
2.> Jaadugar
3.> Najumi
4.> Sharaabi
5.> Kina Rakhne Waala
6.> Biyaaj Khor
7.> Maan-Baap Ki Na Farmaani Karne Waala
8.> Sunni Musalman Rishtedaaron Se
Qata E Taalluq Rakhne Waalon Ki
Tauba Kiye Bager Magferat Nahin Ki Jaaegi.
Is Liye Piyare Doston Apni Magferat Chaahte Ho To Tauba Karo Jise Naaraaz Kiya Hai Taklif Pahunchaai Hai Zulm Kiya Hai
To Us Se Maafi Talab Karo
Phir Allaah Ta’aala Ki Baargaah Me Tauba Karo Allaah Ta’aala Badaa Maherbaan Hai Bakhsh Dega.
14.Sha’abaan Baad Namaaze Asr 40.Baar
laa Haula Walaa Quwwata Illaa Billaahil Aliyyil Azim.
Padhne Waale Ke Gunaahon Ki Magferat Hojaati Hai
_______
Us Ke Baad Namaaze Magrib Waqt Shuru Hojaane Par Adaa Ki Jaae Aur
Baad Namaaze Magrib Ya’aani Farz Sunnat Nafl Se Faarig Hojane Ke Baad
6.Chhe Rak’aat Nafl 2.Do 2.Do Rak’aat Kar Ke Adaa Ki Jaae
har Rakaat Me Sureh Faatehaa Ke Ba’ad Sureh Ikhlaas
1.Ek 1.Ek Baar Padhen Aur Salaam Fairne Ke Baad
Sureh Yaasin Aur Dua E Nisf Sha’abaan
1.Ek 1.Ek Baar Padh Kar Duaen Karen
2.Rakaat Nafl Daraazi E Umr Ke Liye.
2.Rak’aat Nafl Rozi Me Barkat Ke Liye Aur
Allaah Ta’aala Kisi Ka Muhtaaj Na Kare.
2. Rak’aat Nafl Aafaaton Balaaon Se Bachne Ke Liye.
nawaafile Baad Namaaze Ishaa
Saiyed Muhammad Aale Mustafa Ki Aap Hazraat Ki Khidmat Me Arz Hai Ke Mere Sunni Jannati Dosto’n Shab E Baraat Ye Mubarak Raat Sirf Ibaadat Ki Raat Hai Is Muqaddas Raat Me
Hamaatan Qur’aan Khwaani Aur Nawaafil Me Mashgul Rahena Chaahiye Aur Khuraafaat Se Bachna Chaahiye Aur Jitni Himmat Ho Sake
Badh Chadh Kar Ibaadat Karni Chaahiye
saiyedna Hazrat Maula Ali Shere Khuda
Radiy Allaaho Ta’aala Anho Se Riwayet Hai Ke
hoozur Sallallaaho Ta’aala Alaiyhe Wa Sallam Ne Farmaaya:
Jab Shaabaan Ki 15.Panrawin Raat Ho To Us Raat Me Qayaam Karo Aur Us Ke Deen Me Rauza Rakho.
aqua Sallallaaho Ta’aala Alaiyhe Wa Sallam Ka Irshaad E Aali Hai Ke
Jo Shakhs Sha’abaan Ki 15.Pandrah Taarikh Ko Rauza Rakhkhega
Use Dozakh Ki Aag Na Chhuegi
12.Baara Rak’aat Namaaze Nafl
2.Do 2.Do Rakaat Kar Ke Ada Karen Har Rak’aat Me
sureh Faateha Ke Baad 3.Tin 3.Tin Baar Sureh Ikhlaas
Padhen Aur Salaam Pher Ne Ke Baad
100.Sau Baar Durud Sharif
100.Sau Baar Kalma E Tamjid (Tisra Kalema)
100.Sau Baar Astagfaar Padhen Phir Duaen Karen
Inshaallaah Ta’aala Allaah Qubul Farmaaega.
8.Aathh Rak’aat Namaaze Nafl
2.Do 2.Do Rak’aat Kar Ke Ada Karen Har Rakaat Me
sureh Faateha Ke Baad 11.Gyaara 11.Gyaara Baar
sureh Ikhlaas Padhen Aur Is Ka Sawab
saiyeda Fatemah Zahra Radiy Allaaho Ta’aala Anha Ki Baargaah Me Pesh Karen Ke
saiyeda Fatema Zaahra
Radiallahu Taala Anha Farmate Hain Ke Main Us Waqt Tak Jannat Me Dakhil Nahin Houngi Jab Tak
Is Ki Shafa’at Na Kardun Sub’haanallaah.
100.Sau Rak’aat Namaaze Nafl
2.Do 2.Do Rak’aat Kar Ke Ada Karen Har Rakaat Me
sureh Faateha Ke Baad 10.Das 10.Das Baar
sureh Ikhlaas Padhen
Hazrat Hasan Bashri Radiy Allaaho Ta’aala Anho
Farmaate Hain Ke
is 100.Sau Rak’aat Namaaz Padhne Waale Ki Taraf Rabbe Kaaenaat
70.Sattar Dafa Tavajjo Farmaata Hai Aur Har Tawajjo Me 70. Sattar Muraaden
Puri Farmaata Hai Subhanallaah
Saiyed Muhammad Aale Mustafa Ki Aap Tamaam Sunni Sahih Ul Aquida Jannati Doston Se Guzaarish Hai Ke Apni Duao’n Me Mujhe Bhi Yaad Rakhen Jazaakallaahu Khairan Kasira Fiddaarain
Allaa Ta’aala Aqua E Do Jahaan Sallallaaho Ta’aala Alaiyhe Wa Sallam
Ke Sadqe Me Aur Murshid E Bar Haque Hoozur Zahir E Millat Radiy Allaaho Ta’aala Anho Ke Tufail Hamaari Aap Ki Jaaiz Duaon Ko Sharfe Qubuliyat Se Nawaze Har Jaaiz Murad Ko Puri Farmae Aamin
Taalib E Duaa Saiyed Muhammad Aale Mustafa Quadri Jafarabad Sharif