aati hai gardoon se ye payham sada Noha Lyrics

aati hai gardoon se ye payham sada Noha Lyrics

 

aati hai gardoon se ye payham sada
qatl hue sajde may shere Khuda

qaanae haq may ye ghazab ho gaya
qatl hue sajde may shere Khuda

gham se hai zainab nidhaal, khol diye sar ke baal
kehti hai ye pur malaal, dekho to baba kahan

dete hai gibreel ye kaisi nida
qatl hue sajde may shere Khuda

aati hai gardoon se ye payham sada
saath pade jalwagar, kehti hai sar peet kar

phat-ta hai mera jigar, koi to laaye khabar
ghar may Khuda ke ye sitam kya hua

 

 

 

qatl hue sajde may shere Khuda
aati hai gardoon se ye payham sada

dekho to hasnain ja, baba ko ghar may to lao
aisa laga sar pe ghao, mujko Khudara batao

poocho to jarraah se hogi shifa
qatl hue sajde may shere Khuda

aati hai gardoon se ye payham sada
nashtare gham dil pa khaye, daud kar hasnain aaye
dekha ajab haal hai, khoon may hai baba nahaye
firsh se ta arsh hai mehshar bapa
qatl hue sajde may shere Khuda
aati hai gardoon se ye payham sada
haaye qayamat hui, taygh sitam ki chAli
baara Ali-e-wAli, girya-e-roohe Nabi
kaisi layeen ne ye ki joro-jafa
qatl hue sajde may shere Khuda
aati hai gardoon se ye payham sada
ay mere zakhmi Imam, tum pa durood-o-salaam
dhoop ke tabli may aap, dediya khaatil ko jaan
hoga anees aisi koi peyshwa
qatl hue sajde may shere Khuda

 

 

 

When is it Mustahab to make Ghusal?

When is it Sunnah to make Ghusal?

The Sunnahs of Ghusal

Method of Making Ghusal

Benefits and Virtues of Tahajjud

Iman Mufassal & Mujammal (ایمان مفصل و مجمل)

Benefits and Virtues of Ishraq

Performing Hajj on behalf of others

How to do Umrah?

The Family of Prophet Muhammad (ﷺ)

Khutbah Jumuah Arabic (Friday Sermon) خطبه جمعه

Quran Aayatul Istikfa (آیات الاستکفاء قرآن)

Hamdard Khamira Abresham Hakim Arshad Wala

Benefits of Ayat ul Kursi

73 Benefits of Darood Shareef

Benefits of Nade Ali

Asma ul Husna

51 Modern Muslim Girl Names with Meaning

The Fasts of Sha’baan and the Virtues of the 15th of Sha’baan

101 Islamic Quotes

Importance of 10th Muharram in Islam

The 99 names of Allah

Fasting on Mondays and Thursdays

Sharing Is Caring:

Leave a Comment