Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain || महबूब की महफ़िल को, महबूब सजाते हैं || Barkate Raza

Sarkar-e-Do-Aalam sallallahu alayhi wasallam ki mahfil-e-milad aur unki azeem shaan ko bayan karta ye nihayat hi maqbool aur roohani kalam hai. Is naat me ashiqan-e-Rasool ke liye sarkar ke karam aur niyazi sahib ki aqeedat ko nihayat khoobsurat andaz me pesh kiya gaya hai. Aaiye is pakiza aur dilon ko sukoon dene wali naat ko pure khuloos aur adab ke sath mulaheza farmayein.

Naat Information Details
Naat Title Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Poet / Writer Abdul Sattar Niyazi
Category Naat Sharif
Naatkhawan / Reciter Owais Raza Qadri / Yousuf Memon

Naat Lyrics in Roman

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Woh Log Khuda Shahid, Qismat Ke Sikandar Hain
Jo Sarware Alam Ka, Milad Manate Hain

Aqa Ki Sanah Khwani, Dar Asl Ibadat Hai
Hum Naat Ki Surat Mein, Qur’an Sunate Hain

Jin Ka Bhari Duniya Mein, Koi Bhi Nahin Wali
Unko Bhi Mere Aqa, Sine Se Lagate Hain

Jo Sarware Alam Ko, Lajpal Samajhte Hain
Daman Talab Bhar Kar, Mehfil Se Woh Jate Hain

Me-khwaro Chaley Jana, Me-khwanae Sarwar Mein
Woh Jamey Talab Sab Ko; Bhar, Bhar Ke Pilate Hain

Allah Ke Khazanon Ke, Malik Hain Nabi Sarwar
Yeh Sach Hai Niyazi, Hum Sarkar Ka Khate Hain

Naat Lyrics in Hindi

महबूब की महफ़िल को, महबूब सजाते हैं
आते हैं वही जिन को, सरकार बुलाते हैं

वो लोग ख़ुदा शाहिद, क़िस्मत के सिकंदर हैं
जो सरवर-ए-आलम का, मीलाद मनाते हैं

आक़ा की सना ख़्वानी, दर असल इबादत है
हम नात की सूरत में, क़ुरआन सुनाते हैं

जिन का भरी दुनिया में, कोई भी नहीं वाली
उनको भी मेरे आक़ा, सीने से लगाते हैं

जो सरवर-ए-आलम को, लाजपाल समझते हैं
दामन-ए-तलब भर कर, महफ़िल से वो जाते हैं

मए-ख़्वारो चले जाना, मए-ख़्वान-ए-सरवर में
वो जाम-ए-तलब सब को; भर, भर के पिलाते हैं

अल्लाह के ख़ज़ानों के, मालिक हैं नबी सरवर
ये सच है नियाज़ी, हम सरकार का खाते हैं

Naat Lyrics in Urdu

محبوب کی محفل کو، محبوب سجاتے ہیں
آتے ہیں وہی جن کو، سرکار بلاتے ہیں

وہ لوگ خدا شاہد، قسمت کے سکندر ہیں
جو سرورِ عالم کا، میلاد مناتے ہیں

آقا کی ثناء خوانی، دراصل عبادت ہے
ہم نعت کی صورت میں، قرآن سناتے ہیں

جن کا بھری دنیا میں، کوئی بھی نہیں والی
ان کو بھی میرے آقا، سینے سے لگاتے ہیں

جو سرورِ عالم کو، لجپال سمجھتے ہیں
دامنِ طلب بھر کر، محفل سے وہ جاتے ہیں

مے خوارو چلے جانا، مے خانۂ سرور میں
وہ جامِ طلب سب کو؛ بھر، بھر کے پلاتے ہیں

اللہ کے خزانوں کے، مالک ہیں نبی سرور
یہ سچ ہے نیازی، ہم سرکار کا کھاتے ہیں

Leave a Comment