RewriteEngine On RewriteCond %{HTTP_HOST} ^barkateraza\.com$ [NC] RewriteRule ^( .* )$ https://www.barkateraza.in/$1[L,R=301,NC]

Ya Ali Ya Hussain Lyrics

Ya Ali Ya Hussain Lyrics

 

 

Ya Ali Ya Hussein

Allah x3

Allah hee Allah x4
Tu hee Tu Allah,
Allah Tu hee Tu Allah x2

Jo Mohammad ka wafadar hai, Allah uska,
Karbala uski, Najaf uska, Madina uska,
Zindagi hai to bus Ali ki tarha,
Maut aye to Ya Hussain, Hussain!

Ya hussain x6
Ya Ali, Ya Hussain x4

Awaaz e Muhammad ka asar khatam na hoga x2
Thak jayega suraj yeh safar khatam na hoga.

Ya Ali, Ya Hussain x3

La raib pay Rasool ki dono hain zebo zen
Pehlu mein Ya Ali hai, to godi mein Ya Hussain
Godi mein Ya Hussain!
Loho qalam ka ilm ka sadiq hai Ya Ali
Jab tak Khuda ka mulk hai malik hai Ya Hussain
Malik hai Ya Hussain!
Yeh ilm ka dar sabr ka ghar khatam na hoga.

Thak jayega suraj yeh safar khatam na hoga x2

Ye saltanat e ishq hai khuddar milengay
Salmano Abuzar say wafaadar milenge
Wafaadar milenge!
Qasim yahan Mesum say jigar taar milenge
Jinay kay liye marnay pay tayyar milengay
Tayyar milengay!
Kat jaye zaban ishq magar khatam na hoga

Thak jaayega suraj ye safar khatam na hoga x2

Muslim bin e Aqeel safeer e Hussain hai
Hub e Ali hai dil mein masheer e Hussain hai
Masheer e Hussain hai!
Woh badshah aur yeh wazeer e Hussain hai
Aisa wazeer hai kay faqeer e Hussain hai
Faqeer e Hussain hai!
Ta hashr sifarat ka safar khatam na hoga.

Thak jaayega suraj yeh safar khatam na hoga
Ya Ali, Ya Hussain x3

Hur ko sakhi Hussain nay aali bana diya
Aisa ke panjatan ka sawaali bana diya
Sawaali bana diya!
Nad e Ali nay isko jalali bana diya
Rumal e Fatima nay misali bana diya
Misali bana diya!
Yeh dar hai ata’aon ka yeh dar khatam na hoga.

Thak jaayega suraj ye safar khatam na hoga x2

Aie meray Rabb e Jahaan
Aie Muhammad kay Khuda
Yeh Tera ishq hee tha
Jis ki parwaaz juda
Yeh Tera ishq hee tha x2
Panjatan say jo mila
Ishq ka tere e safar
Ishq Haidar mein mila
Kabhi Mesum, Kabhi Miqdad o Abuzar main mila
Kabhi Salman kay dil mein, kabhi Qambar me mila
Aur maqtal main jo dekha to bahattar mein mila
Laike ishq he Tu, Tera jalwa har su x2

Ay mere Rab e jahaan
Ay Mohammad ke Khuda
Ishq tunay bhi diya
Aur Muhammad Tera
Jiski chahat kay liye
Yeh jahaan khalq kiya
Woh tera ishq hi tha x3

Aie meray Rabb e jahan x2
Ik ajab ishq huwa
Woh sare karbobala
Tera aashiq hai khara
Khoon mein duba huwa
Day chuka lakhtay jigar
Day chukka noor e nazar
De chukka sara woh ghar
Aur khanjar ke talay
Uska sajday mein hay sir
Na namazi aisi, na ashiq ka kaleja aisa
Noke neza pe bhi karta hee raha zikr Tera

Ya Ali, Ya Hussain x3

Eik zulfiqaar khalq main do haath say chali
Dast e Hussain o panjae mushkil kusha Ali
Yeh Mustafa ki jaan woh Allah ka wali
Dono ka martaba bhi do alam pe he jail
Dono ka is kamaal se sajda ada huwa
Haider se ibteda huwi ya khatima huwa

Ya Ali, Ya Hussain x3

Hai waqt e asr marziye parwardigar hai
Aab pushte zuljana pe maula sawaar hai
Pehlu mein khun roti huwi zulfiqaar hai
Hum rah zuljanah bhi bohot dil figaar he
Qurban zuljanah pe aur zulfiqar par
Chalte thay dono marziye parwardigar par

Ya Ali, Ya Hussain x3

Jaisi woh zulfiqaar thi waisa tha zuljanah
Bachpan say saath saath hee rehta tha zuljanah
Bay misl o bay nazir tha aala tha zuljanah
Kyun kar na ho Rasool nay pala tha zuljanah
Pehla sawaar to nabiye kirdigaar hai
Aur doosra ye doshe nabi ka sawaar hai

Ya Ali, Ya Hussain x3

Jite thi jab bhi sheyr chitwan hiran ki aankh
Chalta tha dekh dekh ke shahe zaman ki aankh
Parti thi yun harif pe us sab shikan ki aankh
Larzi ho jese halq me shamshir zan ki aankh
Teghaayi jispe urh kabhi baar urhte chalgaya
Wo sar gira gayi to ye lasha uchalgaya

Ya Ali, Ya Hussain x2

Kehta tha zulfiqaar se ab meri jang dekh
Chal tere saath saath zara mera rang dekh
Is kaas mei laraayi ka mera bhi dhang dekh
Raah-e-hayaat fitron pe karta hoon tang dekh
Mana tu zulfiqaar hai marhab shikaar hai
Leykin ye dekh kon ye mujhpar sawaar hai

Ya Ali, Ya Hussain x3

Simta jamaa urha idhar aya udhar gaya
Chamka phira Jamaal dikhaya tha har gaya
Teeron pe urh ke barchiyon mei bekhatar gaya
Bar haq kiya sabon ko saron par guzar gaya
Aya jo zad mei iski ajal aagayi usse
Is saath koi zarb zameen kha gayi usse

Ya Ali, Ya Hussain x3

Allah re laraayi mei shokat hussain ki
Heete wo zuljanah mei sur’at hussain ki
Qudrat baghor zad ki thi surat Hussain ki
Chehre udaas Sakina hai haybat Hussain ki
(Bole Ali Hussain) x2 ho ab bhi hawaas mei
Aisi to jang ham na lare mulk-o-yaas mei

Hussain Ya Hussain x3

Ayi sada-e-ghayb ke bas bas Hussain bas
Dam le hawaa mei eik nafas bas Hussain bas
Garmi se haanfta hai faras bas Hussain bas
Waqt-e-namaaz asr hai bas bas Hussain bas

Hussain Ya Hussain x3

Ye sunte the hazrat jo laga pusht pe dhara
Qarboos pe tharra ke gire hazrat-e-waala
Jibreel ne qadmon se rikaabat ko nikala
Aur haathon ko garden mei yadullah ne daala
Dekha jo zuljanah ne ghash khate zeen par
Bas beyth gaya dekh ke ghutnon ko zameen par
Quran rehl-e-zeen se sar-e-farsh gir para
Dewaar-e-kaba beyth gayi arsh gir para

Hussain Ya Hussain x3

Chillayi fatemah mera bacha hai be gunaah
Ay arz-e-nainawah mera bacha hai be gunaah
Ay nehr-e-alqamah mera bacha hai be gunaah
Ay zulfiqaar tu hi bachaale hussain ko
Ay zuljanah tujhse mei luti hussain ko

Hussain Ya Hussain x3

Duba lahu mei lot ke aaya hai zuljanaah
Samjhi Sakina baba ko laaya hai zuljanah
Sar khaak per patak kar gira wo rahwaar
Sayyedaniyon bichar gaya mujhse mera sawaar
Jaldi utaarlo ye tabarruk ye zulfiqaar
Are kat’ta hai waa gulu-e-shahenshaah-e-naamdaar
Zahra qareeb-e-laash-e-pisar khaak urhaati hai
Are khaymon mei jaawo, lutne ko foj aati hai

Hussain Ya Hussain

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment