Hadaiq e Bakhshish Complete | Aala Hazrat Naat Lyrics
Hadaiq e Bakhshish Complete | Aala Hazrat Naat Lyrics
Table of Contents
Wah Kya Jood O Karam He Shah E Batha Tera
Wah Kya Martaba Ae Ghaus He Bala Tera
Tu He Woh Ghaus Ke Har Ghaus He Shada Tera
Al Aman Qeher He Ae Ghaus Woh Teekha Tera
Na Asman Ko Yoon Sar Kasheedah Hona Tha
Bandah Milne Ko Qareeb E Hazrat E Qadir Gaya
Ne’matein Bantta Jis Samt Woh Zeeshan Gaya
Tab E Mirat E Saher Gard E Baeaban E Arab
Phir Utha Walwala E Yad E Mugheelan E Arab
Jo Banon Par He Bahar E Chaman Arai E Dost
Tooba Me Jo Sab Se Oonchi nazuk Seedhi nikli shak
Wah Kya Jood O Karam He Shah E Batha Tera
Wah Kya Jood O Karam He Shah E Batha Tera
Nahi Sunta Hi Nahin Mangne Wala Tera
Dhare Chalte He Ata Ke Woh He Qatrah Tera
Tare Khilte He Sakha Ke Woh He Zarrah Tera
Faiz He Ya Shah E Tasneem Nirala Tera
Aap Pyason Ke Tajassus Me He Darya Tera
Aghniya Palte He Dar Se Woh He Bara Tera
Asfiya Chalte He Sar Se Woh He Rasta Tera
Farsh Wale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Janein
Khusrawa Arsh Pe Urta He Pharera Tera
Asman Khwan Zameen Khwan Zamana Mehman
Sahib E Khana Laqab Kis Ka He Tera Tera
Me To Malik Hi Kahunga Ke Ho Malik Ke Habeeb
Yani Mehboob O Muhib Me Nahin Mera Tera
Tere Qadmon Me Jo He Ghair Ka Munh Kya Dekhein
Kaun Nazron Pe Charhe Dekh Ke Talwa Tera
Behr E Sail Ka Hoon Sail Nah Kunwe Ka Pyasa
Khud Bujha Jaee Kaleja Mera Cheenta Tera
Chor Hakim Se Chupa Karte He Ya’n Uske Khilaf
Tere Daman Me Chupe Chor Anokha Tera
Ankhein Thandi Hon Jigar Taze Hon Janein Sairab
Sachhe Sooraj Woh Dil Ara He Ujala Tera
Dil Abas Khauf Se Patta Sa Ura Jata He
Palla Halka Sahi Bhari He Bharosa Tera
Ek Me Kya Mere Isiyan Ki Haqeeqat Kitni
Mujh Se Sau Lakh Ko Kafi He Ishara Tera
Muft Pala Tha Kabhi Kam Ki Adat Na Parri
Ab ‘Amal Poochte He Hee Nikamma Tera
Tere Tukron Se Pale Gher Ki Thokar Pe Na Dal
Jhirkiyan Kheein Kahan Chhor Ke Sadqa Tera
Khwar O Beemar O Khatawar O Gunahgar Hoon Me
Rafe O Nafe O Shafe Laqab Aqa Tera
Meri Taqdeer Buri Ho Toh Bhali Kar Dey Ke He
Mehwe Isbat Ke Daftar Pey Karora Tera
Tu Jo Chahe Toh Abhi Mail Mere Dil Ke Dhulein
Ke Khuda Dil Nahin Karta Kabhi Maila Tera
Kis Ka Munh Takiye Kahan Jaiye Kis Se Kahiye
Tere Hi Qadmon Me Mit Jaee Yeh Pala Tera
Tu Ney Islam Diya Tu Ney Jama’at Me Liya
Tu Kareem Ab Koi Phirta He ‘Atiyyah Tera
Maut Sunta Hoon Sitam Talkh He Zehr Ab E Nab
Kaun La Dey Mujhe Talwon Ka Ghasalah Tera
Door Kya Janiye Badkar Pey Kaisi Guzre
Tere Hi Dar Pey Mare Bekas O Tanha Tera
Tere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohot He Teri
Jis Din Achon Ko Mile Jam Chalakta Tera
Haram O Taibah O Baghdad Jidhar Kijiye Nigah
Jowt Parti He Teri Noor He Chanta Tera
Teri Sarkar Me Lata He Raza Usko Shafee’
Jo Mera Ghaus He Or Ladla Beta Tera
Wah Kya Martaba Ae Ghaus He Bala Tera
Wah Kya Martaba Ae Ghaus He Bala Tera
Oonche Oonchon Ke Saron Se Qadam A’la Tera
Sar Bhala Kya Koi Jane Ke He Kaisa Tera
Auliya Malte He Ankhein Woh He Talwa Tera
Kya Dabe Jis Pey Himaeat Ka Ho Panjah Tera
Sher Ko Khatre Me Lata Nahin Kutta Tera
Tu Husaini Hasani Kyoon Nah Muhiyuddin Ho
Ae Khizar Majma’ E Bahrain He Chashma Tera
Qasme Dey Dey Ke Khilata He Pilata He Tujhe
Pyara Allah Tera Chahne Wala Tera
Mustafa Ke Tane Bey Saee Ka Saea Dekha
Jis Ney Dekha Meri Jan Jalwa E Zaeba Tera
Ibn E Zahra Ko Mubarak Ho ‘Aroos E Qudrat
Qadiri Paeein Tasadduq Mere Dulha Tera
Kyoon Nah Qasim Ho Ke Tu Ibn E Abil Qasim He
Kyoon Nah Qadir Ho Ke Mukhtar He Baba Tera
Nabavi Meenh ‘Alawi Fasl Batooli Gulshan
Hasani Phool Husaini He Mehekna Tera
Nabavi Zil Alawi Burj Batooli Manzil
Hasani Chand Husaini He Ujala Tera
Nabavi Khur ‘Alawi Kooh Batooli Ma’din
Hasani La’l Husaini He Tajalla Tera
Behr O Bar Sheher O Qura Sehel O Hazan Dasht O Chaman
Kaun Se Chak Pe Pohonchta Nahin Da’wa Tera
Husn E Niyyat Ho Khata Phir Kabhi Karta Hi Nahin
Azmaea He Yagana He Dogana Tera
‘Arz E Ahwal Ki Pyason Me Kahan Tab Magar
Ankhein Ae Abr E Karam Takti He Rasta Tera
Maut Nazdeek Gunahon Ki Tahein Mail Ke Khowl
A Baras Ja Ke Naha Dho Le Ye Pyasa Tera
Ab Amad Woh Kahe Aur Me Taeammum Bar Khast
Musht Khak Apni Ho Aur Noor Ka Ahla Tera
Jan To Jate Hi Jaeegi Qaeamat Ye He
Ke Yahan Marne Pe Thehra He Nazarah Tera
Tujh Se Dar Dar Se Sag Aur Sag Se He Mujh Ko Nisbat
Meri Gardan Me Bhi He Door Ka Dora Tera
Is Nishani Ke Jo Sag He Nahi Mare Jate
Hashr Tak Mere Gale Me Rahe Patta Tera
Meri Qismat Ki Qasam Kheein Sagan E Baghdad
Hind Me Bhi Hoon To Deta Rahoon Pehra Tera
Teri Izzat Ke Nisar Ae Mere Ghairat Wale
Ah Sad Ah Ke Yoon Khwar Ho Barda Tera
Bad Sahi Chor Sahi Mujrim O Nakarah Sahi
Ae Woh Kaisa Hi Sahi He To Kareema Tera
Mujh Ko Ruswa Bhi Agar Koi Kahega To Yoon Hi
Ke Wohi Na Wo Raza Banda E Ruswa Tera
Ae Raza Yoon Na Bilak Tu Nahin Jaeyid To Na Ho
Saeyad E Jaeyid E Har Dehr He Mawla Tera
Fakhr E Aqa Me Raza Aur Bhi Ik Nazm E Rafee’
Chal Likha Laeein Thana Khwanon Me Chehra Tera
Tu He Woh Ghaus Ke Har Ghaus He Shada Tera
Tu He Woh Ghaus Ke Har Ghaus He Shaida Tera
Tu He Woh Ghais Ke Har Ghais He Pyasa Tera
Sooraj Aglon Ke Chamaktey The Chamak Kar Doobe
Ufaq E Noor Pey He Mehr Hamesha Tera
Murgh Sab Boltey He Bol Ke Chup Rehte He
Han Aseel Ek Nawa Sanj Rahega Tera
Jo Wali Qabl The Ya Ba’d Huwe Ya Hongey
Sab Adab Rakhte He Dil Me Mere Aqa Tera
Baqasam Kehtey He Shahan E Sarifeen O Hareem
Ke Hua He Nah Wali Ho Koi Hamta Tera
TujhSe Aur Dahar Ke Aqtab Se Nisbat Kaisi
Qutub Khud Kaun He Khadim Tera Chela Tera
Sare Aqtab Jahan Karte He Ka’be Ka Tawaf
Ka’ba Karta He Tawaf E Dar E Wala Tera
Aur Parwane He Jo Hote He Ka’be Pey Nisar
Shama’a Ek Tu He Ke Parwanah He Ka’ba Tera
Shajr E Sar O Sahee Kis Ke Ugaee Tere
Marifat Phool Sahi Kis Ka Khilaea Tera
Tu He Naushah Barati He Yeh Sara Gulzar
Laei He Fasl E Saman Goondh Ke Sehra Tera
Daliyan Jhoomti He Raqs E Khushi Josh Pey He
Bulbulein Jhoolti He Gati He Sehra Tera
Geet Kaliyon Ki Chatak Ghazlein Hazaron Ki Chehek
Bagh Ke Sazon Me Bajta He Tarana Tera
Saf E Har Shajrah Me Hoti He Salami Teri
Shakhein Jhuk Jhuk Ke Baja Lati He Mujra Tera
Kis Gulistan Ko Nahin Fasl —E Bahari Se Niyaz
Kaun Se Silsile Me Faiz Nah Aea Tera
Nahin Kis Chand Ki Manzil Me Tera Jalwa E Noor
Nahin Kis Aine Ke Ghar Me Ujala Tera
Raj Kis Sheher Me Kartey Nahin Tere Khuddam
Baj Kis Neher Se Leta Nahin Darya Tera
Mazr’ae Chisht O Bukhara O Iraq O Ajmer
Kaun Si Kisht Pey Barsa Nahin Jhala Tera
Aur Mehboob He Han Par Sabhi Yaksan To Nahin
Yoon To Mehboob He Har Chahne Wala Tera
Is Ko Sau Fard Sarapa Ba Faraghat Oorhein
Tang Ho Kar Jo Utarne Ko Ho Neema Tera
Gardanein Jhuk Gaein Sar Bich Gaee Dil Laut Gaee
Kashf E Saq Aj Kahan Yeh To Qadam Tha Tera
Taj E Farq E Irfa Kis Ke Qadam Ko Kahiye
Sar Jise Baj Dein Woh Paon He Kiska Tera
Sukr Ke Josh Me Jo He Woh Tujhe Kya Janein
Khidr Ke Hosh Se Pooche Koi Rutba Tera
Admi Apne Hi Ehwal Pey Karta He Qiyas
Nashe Walon Ney Bhula Sukr Nikala Tera
Woh To Choota Hi Kaha Chahein Ke He Zer E Hadeed
Aur Har Auj Se Ooncha He Sitarah Tera
Dil E A’da Ko Raza Tez Namak Ki Dhun He
Ek Zara Aur Chirakta Rahey Khamah Tera
Al Aman Qeher He Ae Ghaus Woh Teekha Tera
A Aman Qeher He Ae Ghaus Woh Teekha Tera
Mar Ke Bhi Che Se Sota Nahin Mara Tera
Badalon Se Kahin Rukti He Karakti Bijlee
Dhalein Cheent Jati He Uthta He Jo Tegha Tera
Aks Ka Dekh Ke Munh Aur Biphar Jata He
Char Aina Ke Bal Ka Nahin Neza Tera
Koh E Sar Mukh Ho To Ek War Me Do Par Kale
Hath Parta Hi Nahin Bhool Ke Aucha Tera
Is Pey Yeh Qeher Ke Ab Chand Mukhalif Tere
Chahate He Ke Ghata Dein Kahin Paea Tera
Aql Hoti To Khuda Se Nah Larai Lete
Yeh Ghataein USe Manzoor Barhana Tera
Warafa’na Laka Zikrak Ka He Saea Tujh Par
Bol Bala He Tera Zikr He Ooncha Tera
Mit Gaee Mit Te He Mit Jaeenge A’da Tere
Na Mita He Na Mitega Kabhi Charcha Tera
Tu Ghataee Se Kisi Ke Na Ghata He Na Ghatae
Jab Barhee Tujhe Allah Ta’ala Tera
Samm E Qatil He Khuda Ki Qasam Unka Inkar
Munkir E Fadl E Huzoor Ah Ye Likkha Tera
Mere Saeyaf Ke Khanjar Se Tujhe Bak Nahin
Cheer Kar Dekhe Koi Ah Kaleja Tera
Ibn E Zahra Se Tere Dil Me He Ye Zeher Bhare
Bal Be Ow Munkir E Be Bak Yeh Zuhra Tera
Baz E Ashhab Ki Ghulami Se Yeh Ankhein Phirni
Dekh Ur Jaeega Iman Ka Tota Tera
Shakh Par Baith Ke Jar Katne Ki Fikr Me He
Kahin Neecha Na Dikhee Tujhe Shajra Tera
Haq Se Bad Ho Ke Zamane Ka Bhala Banta He
Are Me Khoob Samajhta Hoon Mua’mma Tera
Sag E Dar Qeher Se Dekhe To Bikharta He Abhi
Band Band E Badan Ae Roobeh Duniya Tera
Gharz Aqa Se Karoon Arz Ke Teri He Panah
Bandah Majboor He Khatir Pe He Qabza Tera
Hukm E Nafiz He Tera Khamah Tera Saif Teri
Dam Me Jo Chahe Kare Dor He Shaha Tera
Jis Ko Lalkar De Ata To Ulta Phir Jaee
Jis Ko Chamkar Le Har Phir Ke Woh Tera Tera
Kunjiyan Dil Ki Khuda Ne Tujhe Dein Aisi Kar
Ke Yeh Seena Ho Mohabbat Ka Khazeena Tera
Dil Pe Kundah Ho Tera Nam Ke Wo Duzd E Rajeem
Ulte Hi Paon Phire Dekh Ke Tughra Tera
Naz’a Me Gor Me Meezan Pe Sar E Pul Pe Kahin
Na Chutae Hath Sae Daman E Mu’alla Tera
Dhoop Mahshar Ki Woh Jan Soz Qaeamat He Magar
MutMe Hoon Ke Mere Sar Pe He Palla Tera
Bahjat Is Sir Ki He Jo Bahjatul Asrar Me He
Ke Falak War Mureedon Pe He Saea Tera
Ae Raza Cheest E Gham Ar Jumlah Jahan Dushman E Tust
Kardah Am Mamane Khud Qibla E Hajate Ra
Hum Khak Me Aur Khak Hi Mawa He Hamara
Hum Khak He Aur Khak Hi Mawa He Hamara
Khaki To Woh Adam Jad E Ala He Hamara
Allah Hume Khak Kare Apni Talab Me
Yeh Khak To Sarkar Se Tamgha He Hamara
Jis Khak Pe Rakhte The Qadam Saeyid E ‘Alam
Us Khak Pe Qurban Dil E Shaida He Hamara
Kham Ho Gaei Pusht E Falak Iss Ta’ane Zameen Se
Sun Hum Pe Madinah He Wo Rutba He Hamara
Usne Laqab E Khaq Shahenshah Se Paea
Jo Haider E Karrar Ke Maula He Hamara
Ae Mudda’eyo! Khak Ko Turn Khak Na Samjhe
Is Khak Me Madfoon Shah E Batha He Hamara
He Khak Se Ta’ameer Mazar E Shah E Kounain
Ma’mur Isi Khak Se Qiblah He Hamara
Hum Khak Urain Ge Jo Wo Khak Na Paei
Abad Raza Jis Pe Madinah He Hamara
Gham Ho Gaye Beshumar Aqa
Gham Ho Gaee Beshumar Aqa
Bandah Tere Nisar Aqa
Bigra Jata He Khel Mera
Aqa Aqa Sanwar Aqa
Manjhdar Pe Ake Naw Tooti
De Hath Ke Hoon Me Par Aqa
Tooti Jati He Peeth Meri
Lillah Ye Bojh Utar Aqa
Halka He Agar Hamara Palla
Bhari He Tera Waqar Aqa
Majboor He Ham To Fikr Kya He
Turn Ko To He Ikhtiyar Aqa
Me Door Hoon Turn To Ho Mere Pas
Sun Lo Meri Pukar Aqa
Mujh Sa Koi Ghamzadah Na Hoga
Turn Sa Nahin Gham Gusar Aqa
Girdab Me Par Gaei He Kashti
Dooba Dooba Utar Aqa
Turn Woh Ke Karam Ko Naz Turn Se
Me Woh Ke Badi Ko Ar Aqa
Phir Munh Na Pare Kabhi Khizan Ka
De De Aisi Bahar Aqa
Jis Ki Marzi Khuda Na Tale
Mera He Woh Namdar Aaqa
He Mulk E Khuda Pe Jiska Qabza
Mera He Woh Kamgar Aqa
Soya Kiye Nabakar Bande
Roya Kiye Zar Zar Aqa
Kya Bhool He Unke Hote Kehlaein
Duniya Kae Yeh Tajdar Aqa
Unke Adna Gada Pe Mit Jaeein
Aise Aise Hazar Aqa
Be Abr E Karam Ke Mere Dhabbe
La Taghsiluha Al Bihar Aqa
Itni Rehmat Raza Pe Kar Lo
La Yaqrubuhu Ul Bawar Aqa
Muhammad Mazhar E Kamil
Muhammad Mazhar E Kamil He Haq Ki Shan E Izzat Ka
Nazar Ata He Is Kasrat Me Kuch Andaz Wahdat Ka
Yahi He Asl E Alam E Madah Ijad E Khalqat Ka
Yahan Wahdat Me Barpa He Ajab Hangama Kasrat Ka
Gada Bhi Muntazir He Khuld Me Nekon Ki Da’wat Ka
Khuda Din Khair Se Laee Sakhi Ke Ghar Ziyafat Ka
Gunah Maghfoor Dil Raushan Khanak Ankhein Jigar Thanda
Ta’ala Allah Mah E Taiba Alam Teri Tal’at Ka
Na Rakhi Gul Ke Josh E Husn Ne Gulshan Meja Baqi
Chatakta Phir Kahan Ghuncha Koi Bagh E Risalat Ka
Barha Ye Silsila E Rahmat Ka Daur E Zulf E Wala Me
Tasalsal Kale Koson Reh Gaya Isiyan Ki Zulmat Ka
Saf E Matam Uthe Khali Ho Zindan Tootein Zanjeerain
Gunahgaro Chalo Mawla Ne Dar Khola He Jannat Ka
Sikhea He Yeh Kis Gustakh Ne Aina Ko Ya Rab
Nazarah Rooye Janan Ka Bahana Kar Ke Hairat Ka
Idhar Ummat Ki Hasrat Par Udhar Khaliq Ki Rahmat Par
Nirala Taur Hoga Gardish E Chashme Shafa’at Ka
Barhein Is Darja Maujein Kasrat E Afdal E Wala Ki
Kinarah Mil Gaya Is Neher Se Darya E Wahdat Ka
Kham E Zulf E Nabi Sajid He Mehrab E Do Abru Me
Ke Ya Rab Tu Hi Wali He Siyah Karan E Ummat Ka
Madad Ae Joshish E Girya Baha De Kooh Aur Sehra
Nazar A Jaee Jalwah Be Hijab Us Pak Turbat Ka
Hue Kam Khwabi E Hijran Me Saton Parde Kam Khwabi
Tassawwur Khoob Bandha Ankhon Ne Astar E Turbat Ka
Yaqeen He Waqt E Jalwah Laghzishe Paee Negah Paee
Mile Josh E Safaee Jism Se Pa Bos Hazrat Ka
Yahan Chirka Namak Wa Marham E Kafoor Hath Aea
Dil E Zakhmi Namak Parwardah He Kis Ki Malahat Ka
Ilahi Muntazir Hoon Woh Khiram E Naz Farmaein
Bicha Rakha He Farsh Ankhon Ne Kam Khwab E Basarat Ka
Na Ho Aqa Ko Sajdah Adam O Yusuf Ko Sajdah Ho
Magar Sad E Zarae’ E Dab He Apni Shari’at Ka
Zaban E Khar Kis Kis Dard Se Un Ko Sunati He
Tarapna Dasht E Taiba Me Jigar Afgar Furqat Ka
Sirhane Un Ke Bismil Ke Ye Betabi Ka Matam He
Shahe Kausar Tarahham Tishnahjata He Ziyarat Ka
Jinhein Marqad Me Ta Hashr Ummati Keh Kar Pukaroge
HaMe Bhi Yad Kar Lo Un Me Sadqa Apni Rahmat Ka
Woh Chamke Bijliyan Ya Rab Tajalli Hee Janan Se
Ke Chashm E Toor Surma Ho Dil Mushtaq Rooyat Ka
Raza E Khasta Josh E Behr E ‘Isiyan Se Na Ghabrana
Kabhi To Hath Ajaeega Daman Unki Rahmat Ka
Lutf Unka Aam Ho Hi Jaeega
Lutf Unka Am Ho Hi Jaeega
Shad Har Na Kam Ho Hi Jaeega
Jan De Do Wada E Deedar Par
Naqd Apna Dam Ho Hi Jaeega
Shad He Firdous Yani Ek Din
Qismat E Khuddam Ho Hi Jaeega
Yad Reh Jaeengi Yeh Be Bakiyan
Nafs To To Ram Ho Hi Jaeega
Be Nishano Ka Nishan Mit Ta Nahin
Mit Te Mit Te Nam Ho Hi Jaeega
Yad E Gesu Zikr E Haq He Ah Kar
Dil Me Paida Lam Ho Hi Jaeega
Ek Din Awaz Badleinge Yeh Saz
Cheh Chaha Kohram Ho Hi Jaeega
Sailo Daman Sakhi Ka Tham Lo
Kuch Na Kuch In’am Ho Hi Jaeega
Yad E Abru Karke Tarpo Bulbulo
Tukre Tukre Dam Ho Hi Jaeega
Mufliso Unki Gali Me Ja Paro
Bagh E Khuld Ikram Ho Hi Jaeega
Gar Yoonhi Rahmat Ki Tawilein Rahein
Madh Har Ilzam Ho Hi Jaeega
Badah Khawari Ka Saman Bandhne To Do
Shaikh Durd A Sham Ho Hi Jaeega
Gham To Unko Bhool Kar Lipta He Yoon
Jaise Apna Kam Ho Hi Jaeega
Mit Ke Gar Yoonhi Raha Qarz E Heat
Jan Ka Neelam Ho Hi Jaeega
Aqilo Unki Nazar Seedhi Rahe
Bauron Ka Bhi Kam Ho Hi Jaeega
Ab To Laei He Shafa’at Afw Par
Barhte Barhte Am Ho Hi Jaeega
Ae Raza Har Kam Ka Ek Waqt He
Dil Ko Bhi Aram Ho Hi Jaeega
Lam Yatinazeeruka Fee Nazarin
Lam Yati Nazeeruka Fee Nazarin Mithle To Na Shud Paida Jana
Jag Raj Ko Taj Tore Sarso He Tujh Ko Shahe Do Sara Jana
Al Bahru ‘Ala Wal Mauju Tagha Mann Bekas O Toofan Hosh Ruba
Manjdhar Me Hoon Bigri He Hawa Mori Naeya Par Laga Jana
Ya Shamsu Nazarti Ila Lailee Chu Ba Taiba Rasi ‘Arz E Ba Kuni
Tori Jowt Ki Jhaljhal Jag Me Rachi Mori Shab Ne Na Din Hona Jana
Laka Badrun Fil Wajhil Ajmal Khat Hala E Mah Zulf Abr E Ajil
Tore Chandan Chandar Paro Kundal Rahmat Ki Bharan Barsa Jana
Ana Fi Atashin Wa Sakha Ka Atam Ae Gesuye Pak Ae Abre Karam
Barsan Hare Rimjhim Rimjhim Do Boond Idhar Bhi Gira Jana
Ya Qafilatee Zeedee Ajalak Rahme Bar Hasrate Tishna Labak
Mora Jiyara Larje Darak Darak Taiba Se Abhi Na Suna Jana
Wa Ahan Lisoowae’atin Zahabat An Ahad E Huzoor Bar E Gahat
Jab Yad Awat Mohe Kar Na Parat Darda Woh Madinah Ka Jana
Alqalbu Shajin Wal Hammu Shujoon Dil Zar Chuna Jan Zer E Chunoo
Pat Apni Bipat Mai Ka Se Kahoo Mera Kaun He Tere Siwa Jana
Arruhu Fidaka Fazid Harqa Yak Sho’la Digar Barzan ‘Ishqa
Mora Tan Man Dhan Sab Phoonk Diya Ye Jan Bhi Pyare Jala Jana
Bas Khamae Kham E Nawa E Raza Na Ye Tarz Meri Na Ye Rang Mera
Irshad E Ahibba Natiq Tha Nachar Is Rah Parra Jana
Na Asman Ko Yoon Sar Kasheedah Hona Tha
Na Asman Ko Yoon Sar Kasheedah Hona Tha
Huzoor E Khak E Madinah Khameedah Hona Tha
Agar Gulon Ko Khizan Na Raseedah Hona Tha
Kinar E Khar E Madinah Dameedah Hona Tha
Huzoor Un Ke Khilaf E Adab Thi Betabi
Meri Umeed Tujhe Ar Meedah Hona Tha
Nazarah Khak E Madinah Ka Aur Teri Ankh
Na Is Qadar Bhi Qamar Shaukh Deedah Hona Tha
Kinar E Khak E Madinah Me Rahatein Milti
Dil E Hazeen Tujhe Ashk Chakeedah Hona Tha
Panah E Daman E Dasht E Haram Me Che Ata
Na Sabr E Dil Ko Ghazal E Rameedah Hona Tha
Ye Kaise Khulta Ke Unke Siwa Shafee Nahin
‘Abath Na Auron Ke Age Tapeedah Hona Tha
Hilal Kaise Na Banta Ke Mah E Kamil Ko
Salam E Abroo E Shah Me Khameedah Hona Tha
La Amla Anna Jahannam Tha Wa’dah E Azali
Na Munkiron Ka ‘Abath Bad ‘Aqeedah Hona Tha
Naseem Kyoon Na Shameem Un Ki Taiba Se Lati
Ke Subh E Gul Ko Gireban Dareedah Hona Tha
Tapakta Rang E Junoon ‘Ishq E Shah Me Har Gul Se
Rag E Bahar Ko Nishtar Raseedah Hona Tha
Baja Tha ‘Arsh Pe Khak E Mazar E Pak Ko Naz
Ke Tujh Sa Arsh Nashin Afreedah Hona Tha
Guzarte Jan Se Ek Shor E Ya Habeeb Ke Sath
Fughan Ko Nala E Halq Bureedah Hona Tha
Mere Kareem Gunah Zeher He Magar Akhir
Koi To Shahed E Shafa’at Chasheedah Hona Tha
Jo Sang E Dar Pe Jabeen Saiyon Me Tha Mitna
To Meri Jan Sharar E Jaheedah Hona Tha
Teri Quba Ke Na Kyoon Neeche Neeche Daman Hon
Ke Khaksaro Se Yan Kab Kasheedah Hona Tha
Raza Jo Dil Ko Banana Tha Jalwah Gah E Habeeb
Tu Pyare Qaid E Khudi Sae Raheedah Hona Tha
Shor E Mah E Nau Sun Kar Tujh Tak Me Dawan Aea
Shor E Mah E Nau Sun Kar Tujh Tak Me Dawan Aea
Saqi Mai Tere Sadqe Mai De Ramadan Aea
Is Gul Ke Siwa Har Phool Ba Gosh E Giran Aea
Dekhe Hi Gaeee Ae Bulbul Jab Waqt E Fughan Aea
Jab Bam E Tajalli Par Woh Naeyar E Jan Aea
Sar Tha Jo Gira Jhuk Kar Dil Tha Jo Tapan Aea
Jannat Ko Haram Samjha Ate To Yahan Aea
Ab Tak Ke Har Ek Ka Munh Kehta Hoon Kahan Aea
Taiba Ke Siwa Sab Bagh Pa Mal E Fana Honge
Dekhoge Chaman Walo Jab ‘Ahd E Khizan Aea
Sar Aur Woh Sang E Dar Ankh Aur Woh Bazm E Noor
Zalim Ko Watan Ka Dhyan Aea To Kahan Aea
Kuch Na’at Ke Tabqe Ka ‘Alam Hi Nirala He
Sakte Me Pari He Aql Chakkar Me Guman Aea
Jalti Thi Zameen Kaisi Thee Dhoop Kari Kaisi
Lo Woh Qad E Be Saea Ab Saea Kinan Aea
Taiba Se Ham Ate He Kahiye To Jinan Walo
Kya Dekh Ke Jeeta He Jo Wan Se Yahan Aea
Le Toq E Alam Se Ab Azad Ho Ae Qumri
Chithi Liye Bakhshish Ki Woh Sarwe Rawan Aaea
Namah Se Raza Ke Ab Mit Jao Bure Kamo
Dekho Mere Palle Par Woh Ache Miyan Aea
Badkar Raza Khush Ho Badkam Bhale Honge
Woh Ache Miyan Pyara Achon Ka Miyan Aea
Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya
Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya
Tumhare Kooche Se Rukhsat Kiya Nihal Kiya
Na Rooye Gul Abhi Dekha Na Booye Gul Soonghi
Qaza Ne Lake Qafas Me Shikasta Bal Kiya
Woh Dil Ke Khoon Shudah Arman The Jis Me Mal Dala
Fughan Ke Gor E Shahidan Ko Paeemal Kiya
Ye Raee Kya Thi Wahan Se Palatne Ki Ae Nafs
Sitam Gar Ulti Churi Se HaMe Halal Kiya
Ye Kab Ki Mujh Se Adawat Thi Tujh Ko Ae Zalim
Chura Ke Sang E Dar E Pak Sar Wabal Kiya
Chaman Se Phenk Diya Ashiyana E Bulbul
Ujara Khana E Be Kas Bara Kamal Kiya
Tera Sitam Zadah Ankhon Ne Kya Bigara Tha
Ye Kya Samai Ke Door Un Se Woh Jamal Kiya
Huzoor Un Ke Khyal E Watan Mitana Tha
Ham Ap Mit Gaee Ache Faragh Bal Kiya
Na Ghar Ka Rakha Na Is Dar Ka Hee Na Kami
Hamari Be Basi Par Bhi Na Kuch Khyal Kiya
Jo Dil Ne Mar Ke Jalaea Tha Mannato Ka Charagh
Sitam Ke Arz Rah E Sar Sar Zawal Kiya
Madinah Chor Ke Weerana Hind Ka Chea
Ye Kaisa Hee Hawason Ne Ikhtilal Kiya
Tu Jis Ke Waste Chor Aea Taiba Sa Mahboob
Bata To Is Sitam Ara Ne Kya Nihal Kiya
Abhi Abhi To Chaman Me The Chehchahe Na Gah
Ye Dard Kaisa Utha Jis Ne Jee Nidhal Kiya
Ilahi Sun Le Razajeete Jee Ke Mawla Ne
Sagan E Koocha Me Chehra E Mera Bahal Kiya
Bandah Milne Ko Qareeb E Hazrat E Qadir Gaya
Bandah Milne Ko Qareeb E Hazrat E Qadir Gaya
Lam’ah E Batin Me Gumne Jalwah E Zahir Gaya
Teri Marzi Pa Gaya Sooraj Phira Ulte Qadam
Teri Ungli Uth Gaei Mah Ka Kaleja Chir Gaya
Barh Chali Teri Ziya Andher Alam Se Ghatta
Khul Gaya Gesu Tera Rahmat Ka Badal Ghir Gaya
Bandh Gaei Teri Hawa Sa Woh Me Khak Urne Lagi
Barh Chali Teri Ziya Atish Pe Pani Phir Gaya
Teri Rahmat Se Safi Ullah Ka Bera Par Tha
Tere Sadqe Se Naji Ullah Ka Bajra Tir Gaya
Teri Amad Thi Ke Baitullah Mujre Ko Jhuka
Teri Haibat Thi Ke Har But Thar Thara Kar Gir Gaya
Momin Un Ka Kya Hua Allah Uska Ho Gaya
Kafir Un Se Kya Phira Allah Hi Se Phir Gaya
Woh Ke Us Dar Ka Hua Khalq E Khuda Us Ki Hui
Woh Ke Us Dar Se Phira Allah Hi Se Phir Gaya
Mujh Ko Deewana Batate Ho Me Woh Hushiyar Hoon
Paon Jab Tof E Haram Me Thak Gaee Sar Phir Gaya
Rehmatul Lil ‘Alameen Afat Me Hoon Kaisi Karoon
Mere Mawla Me To Is Dil Se Bala Me Ghir Gaya
Me Tere Hathon Ke Sadqe Kaisi Kankariyan Thee Woh
Jin Se Itne Kafiron Ka Daf’atan Munh Phir Gaya
Kyoon Janab E Bu Hurairah Tha Woh Kaisa Jam E Sheer
Jis Se Sattar Sahibon Ka Doodh Se Munh Phir Gaya
Wasta Pyare Ka Aisa Ho Ke Jo Sunni Marre
Yoon Na Farmaeein Tere Shahid Ke Woh Fajir Gaya
Arsh Par Dhoome Machein Woh Momine Saleh Mila
Farsh Se Matam Uthe Wo Taeyib O Tahir Gaya
Allah Allah Ye ‘Uloo E Khas ‘Abdiyat Raza
Bandah Milne Ko Qareeb E Hazrat E Qadir Gaya
Thokarein Khate Phiroge Unke Dar Par Par Raho
Qafila To Ae Raza Awwal Gaya Akhir Gaya
Ne’matein Bantta Jis Samt Woh Zeeshan Gaya
Ne’matein Bantta Jis Samt Wo Zeeshan Gaya
Sath Hi Munshi E Rahmat Ka Qalamdan Gaya
Le Khabar Jald Ke Ghairon Ki Taraf Dhyan Gaya
Mere Mawla Mere Aqa Tere Qurban Gaya
Ah Wo Ankh Ke Nakame Tammanna Hi Rahi
Hee Wo Dil Jo Tere Dar Se Pur Arman Gaya
Dil He Wo Dil Jo Teri Yad Se Ma’moor Raha
Sar He Wo Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurban Gaya
Unhein Jana Unhein Mana Na Rakha Ghair Se Kam
Lillahil Hamd Me Duniya Se Musalman Gaya
Aur Turn Par Mere Aqa Ki ‘Inaeat Na Sahi
Najdiyon Kalmah Parhane Ka Bhi Ehsan Gaya
Aj Le Unki Panah Aj Madad Mang Un Se
Phir Na Manenge Qaeamat Me Agar Man Gaya
Uf Re Munkir Ye Barha Joshe Ta’assub Akhir
Bheer Me Hath Se Kam Bakht Ke Iman Gaya
Jan O Dil Hosh O Khirad Sab To Madine Pahunche
Turn Nahin Chalte Raza Sara To Saman Gaya
Tab E Mirat E Saher Gard E Baeaban E Arab
Tab E Mirat E Saher Gard E Baeaban E Arab
Ghaza E Rooye Qamar Dood E Charaghan E Arab
Allah Allah Bahar E Chamanistane Arab
Pak He Lauth E Khizan Se Gul O Rehan E Arab
Joshish E Abr Se Khoon E Gul E Firdous Kare
Cher De Rag Ko Agar Khar E Baeaban E Arab
Tishna E Neher E Jinan Har Arabi O Ajami
Lab E Har Neher E Jinan Tishna E Neesane Arab
Toq E Gham Ap Hawae Pare Qumri Se Gire
Agar Azad Kare Sarw E Khuraman E Arab
Meher E Meezan Me Chupa Ho To Hamal Me Chamke
Dale Ek Boond Shabe De Me Jo Baran E Arab
Arsh Se Muzda E Bilqees E Shafa’at Laea
Tair E Sidrah Nasheen Murgh E Suleman E Arab
Husn E Yusuf Pe Kateen Misr Me Angasht E Zanan
Sar Katate He Tere Nam Pe Mardan E Arab
Koocha Koocha Me Mahekti He Yahan Boo—E Qamees
Yusufistan He Har Ek Gosha E Kan’an E Arab
Bazm E Qudsi Me He Yad E Lab E Jan Bakhsh Huzoor
Alam E Noor Me He Chashma E He Wan E Arab
Paeae Jibreel Ne Sarkar Se Kya Kya Alqab
Khusr O Khail E Malak Khadim E Sultan E Arab
Bulbul O Nilpar O Kabak Bano Parwano
Meh O Khursheed Pe Hanste He Charaghan E Arab
Hoor Se Kya Kahein Moosa Se Magar Arz Karein
Ke He Khud Husn E Azal Talib E Janan E Arab
Karam E Nat Ke Nazdeek To Kuch Door Nahin
Ke Raza E Ajami Ho Sag E Hassan E Arab
Phir Utha Walwala E Yad E Mugheelan E Arab
Phir Utha Walwala E Yad E Mugheelan E Arab
Phir Khincha Daman E Dil Sooye Baeaban E Arab
Bagh E Firdous Ko Jate He Hazaran E Arab
Hee Sehra E Arab Hee Baeaban E Arab
Meethi Batein Teri Deen E Ajam Iman E Arab
Namkeen Husn Tera Jan E Ajam Shan E Arab
Ab To He Girya E Khoon Gauhar E Daman E Arab
Jisme Do La’al The Zahra Ke Woh Thee Kan E Arab
Dil Wohi Dil He Jo Ankhon Se Ho Hairan E Arab
Ankhein Wo Ankhein He Jo Dil Se Hon Qurban E Arab
Hee Kis Waqt Lagi Phans Alam Ki Dil Me
Ke Bohot Door Rahe Khar E Mugheelan E Arab
Fasl E Gul Lakh Na Ho Wasl Ki Rakh As Hazar
Phoolte Phalte He Be Fasl Gulistan E Arab
Sadqe Hone Ko Chale Ate He Lakhon Gulzar
Kuch Ajab Rang Se Phoola He Gulistan E Arab
Andaleebi Pe Jagharte He Kate Marte He
Gul O Bulbul Ko Larata He Gulistan E Arab
Sadqe Rahmat Ke Kahan Phool Kahan Khar Ka Kam
Khud He Daman Kash E Bulbul Gul E Khandan Arab
Shadi E Hashr He Sadqe Me Chutenge Qaidi
Arsh Par Dhoom Se He Dawat E Mehman E Arab
Charche Hote He Ye Kamhlaee Huey Phoolon Me
Kyoon Ye Din Dekhte Pate Jo Biyaban E Arab
Tere Be Dam Ke Bande He Raeesan E Ajam
Tere Be Dam Ke Bandi He Hazaran E Arab
Hasht E Khuld Aeein Wahan Kasb E Latafat Ko Raza
Char Din Barse Jahan Abr E Baharan E Arab
Jo Banon Par He Bahar E Chaman Arai E Dost
Jo Banon Par He Bahar E Chaman Arai E Dost
Khuld Ka Nam Na Le Bulbul E Shaidaei E Dost
Thak Ke Beithe To Dar E Dil Pe Tamannai E Dost
Kaun Se Ghar Ka Ujala Nahin Zebai E Dost
Arsa E Hashr Kuja Mawqaf E Mahmood Kuja
Saz Hangamon Se Rakhti Nahi Yaktai E Dost
Mehr Kis Munh Se Jaluw Dari Janan Karta
Saye Ke Nam Se Bezar He Yaktai E Dost
Marne Walon Ko Yahan Milti He Umr E Javed
Zinda Choregi Kisi Ko Na Maseehai E Dost
Unko Yakta Kiya Aur Khalq Banai Ya’ani
Anjuman Karke Tamasha Karein Tanhai E Dost
Ka’aba O Arsh Me Kohram He Na Kami Ka
Aah Kis Bazm Me He Jalwa E Yaktai E Dost
Husne Be Pardah Ke Parde Ne Mitta Rakha He
Dhoondne Jaeein Kahanjalwa E Har Jai E Dost
Shauq Roke Na Ruke Paon Uthee Na Uthe
Kaisi Mushkil Me He Allah Tamannai E Dost
Sharm Se Jhukti He Mehrab Ke Sajid He Huzoor
Sajdah Karwati He Ka’aba Se Jabeen Saei E Dost
Taj Walo Ka Yahan Khak Pe Matha Dekha
Sare Daraoon Ki Dara Hoyi Darai E Dost
Toor Par Koyi Koyi Charakh Pe Ye Arsh Se Par
Sare Balaon Pe Bala Rahi Balai E Dost
Anta Fee Him Ne Adoo Ko Bhi Liya Daman Me
Aishe Javed Mubarak Tujhe Shedai E Dost
Ranj E Ada Ka Raza Charah Hi Kya He Ke Unhein
Ap Gustakh Rakhe Halm O Shakeebai E Dost
Tooba Me Jo Sab Se Oonchi nazuk Seedhi nikli shakh
Tooba Me Jo Sab Se Oonchi Nazuk Seedhi Nikli Shakh
Mangun Nat E Nabi Likhne Ko Rooh E Quds Se Aisi Shakh
Mawla Gulbun Rahmat Zahra Sibtain Uski Kaliyan Phool
Siddique O Farooq O Usman O Haidar Har Ek Uski Shakh
Shakh E Qamat Sheh Me Zulf O Chashm O Rukhsar O Lab Me
Sunbul Nargis Gul Pankhariyan Qudrat Ki Kya Phooli Shakh
Apne In Baghon Ka Sadqa Woh Rahmat Ka Pani De
Jis Se Nakhl E Dil Me Ho Paida Pyare Teri Wila Ki Shakh
Yad E Rukh Me Ahein Kar Ke Ban Me Me Roya Aei Bahar
Jhoome Naseeme Nisan Barsa Kaliyan Chatkein Mehki Shakh
Zahir O Batin Awwal O Akhir Zeb E Faroo’ O Zain E Usool
Bagh E Risalat Me He Tu Hi Gul Ghuncha Jar Patti Shakh
Al E Ahmad Khuzbiyadi Ya Saeyad E Hamza Kun Madadi
Waqt E Khazan E Umre E Raza Ho Barg E Huda Se Na Ari Shakh